Mera Delhi University Admission ka Safar: Ek Fresher ki Nazar se

Delhi University (DU) mein admission lena ek bada wala milestone hai – ek aisi cheez jo sapne ko haqeeqat mein badal deti hai. DU ka naam hi apne aap mein ek vibe hai – India ki top universities mein se ek, jahan har seat ke liye ek chhoti si ladai ladni padti hai. Main North campus mein nahi tha, par phir bhi mera DU ka experience apne aap mein ek kahani ban gaya.Toh chalo, thodi si baat karte hain – ek fresher ka admission ka safar, entrance aur merit ka thoda sa comparison, college-course choose karne ke kuch practical tips, aur thodi si meri wali feeling jo iss journey ko khaas banati hai.Admission ka Scene: CUET UG 2022 ka Hungama mera DU ka safar shuru hua CUET UG 2022 ke saath. Yaar, kya ek chaos wala time tha woh!Exam se pehle har din ek naya tension – hoga ki nahi? Cutoffs kahan tak jayenge? Upar semera exam ka performance bhi thoda average sa tha – dil bol raha tha, “Bhai, ab toh lagta hai game over.” Har baar result ka wait karte hue lagta tha ki shayad ab nahi hoga. Lekin jaise kismat ne palti maari, thodi si mehnat aur thodi si dua ke saath, admission ho gaya! Jab list mein naam aaya, woh khushi – ghar mein sabki aankhon mein chamak, aur mere dil mein ek alag si baat. Yeh ek aisa moment tha jahan laga ki haan, maine kuch toh achieve kiya hai.

Entrance vs Merit: Kya Better Hai ?

Ab thodi baat karte hain entrance aur merit-based admission ki. Pehle DU mein merit ka zamana tha – 12th ke marks ke basis pe cutoffs aate the, aur agar tum 95-98% ke neeche ho toh bas dil baith jata tha. Har ek percent ke liye jaan pe jaati thi. Ab CUET ne entry ki hai – yeh ek naya system hai jisme alag se exam dena padta hai. Iska fayda yeh hai ki agar boards mein thode marks kam aa bhi gayee toh bhi ek chance milta hai apne aap ko prove karne ka just like COD mein extra life milna. Par isme bhi dikkat hai – syllabus lamba hai, competition jyada, aur preparation ke liye ek alag stamina chahiye. Merit mein simple tha, par saara game school marks ka tha. Mujhe lagta hai entrance ne thodi si fresh hawa di hai process ko aur thodi si fair gameplay bhi , par dono mein apne-apne advantage hai.

Pehla Din College Mein: Metro ka Safar aur Nayi Duniya

Jab main pehli baar college gaya, yaar, woh din ek alag hi high tha! Dil mein excitement ka overdose – thodi si nervousness bhi thi ki ab main ek naye phase mein ja raha hoon. North campus ka scene mere liye nahi tha, par phir bhi mera college ka pehla din ek memorable chapter ban gaya. Gurgaon se Delhi tak ka safar Delhi Metro mein – bheed mein khada hua,thodi si garmi, par man mein ek junoon. College ke gate pe pahunchte hi laga, “Ab main sach mein DU ka part hoon!”Andar ghusne pe ek nayi feeling– campus mein woh thodi si raw energy thi, log apne-apne kaam mein lage hue, aur ek vibe jo bol rahi thi ki yahan kuch karan johar ki‘SOTY’ jaisa nhii hai. Haan, thodi si hayal bhi tooti – na koi filmy wala welcome, na hi koi bada wow moment. Par jo mila, woh apne aap mein asli aur dil ko chhoo lene wala tha. Delhi ke naye rang bhi dikhe – metro ka roz ka chakkar, college ke paas ka sasta khana, aur woh DU wali feeling jo bolti hai, “Bhai, tu ab apne pairon pe khada hai.”

Delhi ka Alag Rang: Metro, Dilli, aur Naye Dost

Delhi ka as a city ek alag experience tha. Metro mein safar – kabhi seat mil jati hai, kabhi nahi,par har din ek naya adventure. Gurgaon se Delhi aate hue woh bheed, woh thodi si thakaan,par saath mein ek excitement ki ab main ek bade shehar ka hissa hoon. College ke baad kabhi doston ke saath chai pe baatein, kabhi canteen mein samosa ke liye chhoti si line – yeh sab chhoti-chhoti cheezein DU ke safar ko aur yaadgaar banati hain. Haan, thodi si dikkat bhi hui –traffic ka jhanjhat, garmi ka maar – par yeh sab us bade sapne ke saamne chhota laga.

College aur Course Choose karne ke Practical Tips

College aur Course Choose karne ke Practical Tips

● Course Ko Priority Do: College ka naam kitna bhi bada ho, agar course mein dil nahilagta toh waste hai. Apne interest aur future ke hisaab se chuno – yeh tumhari zindagika base hai.

● Campus ka Scene Samjho: North Campus ho ya South ya koi aur college, har jagah kaapna mahaul hai. Thodi research karo – cutoff trends, faculty, aur wahan ka crowd kaisahai.

● Societies Mein Jump Karo: DU mein padhai ke saath-saath societies ka bohot scope hai– dance, debate, photography, jo bhi tumhara dil chahe. Yeh naye dost banane aur khudko samajhne ka best tarika hai.

● Backup Zaroor Rakho: Cutoffs ka kuch bharosa nahi – kabhi sky high, kabhi thodaneeche. Ek doosra college ya course ka option soch ke rakho, taaki dil na toote.

● Metro ko Apna Saathi Banao: Delhi Metro DU life ka ek bada part hai. Thodi si bheedaur thakaan ke saath dosti kar lo – yeh tumhe har din college leke jayegi.

● Expectations Thodi Kam Rakho: Haan, DU bada naam hai, par har college ek jaisa nahi hota. Apne experience ko enjoy karo, comparison mat karo.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *